ye hoti hui GHazal…


زندان میں اسیروں کی لکھی ہوئی غزل
احساسِ انقلاب دلاتی ہوئی غزل

کم ظرف شاعروں نے یہ کیا حال کردیا
دیکھی ہے ہم نے ستیج پہ سہمی ہوئی غزل

تمثیل استعارے سبھی خوب خوب ہیں
اپنی غزالی نین سے پڑھتی ہوئی غزل

چل ڈوب کر نکالتے ہیں شعر سے گہر
پائی ہے موجِ بحر سی بہتی ہوئی غزل

ڈھلتی ہے ڈھلتے ڈھلتے یہ ڈھلتی ہوئی سی شام
ہوتی ہے ہوتے ہوتے یہ ہوتی ہوئی غزل


zindaan meiN aseeroN ki likhi hui GHazal;
ehsaas e inquilaab dilaati hui GHazal

kam-zarf shaayeroN ne ye kya haal kardiya;
dekhi hai hum ne stage pe sehmi hui GHazal

tamseel, isteaarey sabhi KHoob KHoob haiN;
apni GHazaali nayn se paDhti hui GHazal

chal Doob kar nikaalte haiN sher se gohar;
paayi hai mauj e behr si behti hui GHazal

Dhalti hai Dhalte Dhalte, ye Dhalti hui si shaam;
hoti hai hote hote ye hoti hui GHazal