ke baarish e ilhaam bhi nahi…


میرے وجود کا کوئی انعام بھی نہیں
یعنی ترے لبوں پہ مرا نام بھی نہیں

زنجیر حسن میں ہمیں باندھا گیا ہے کیوں
ہم پر تو تیرے عشق کا الزام بھی نہیں

تکتے ہیں فرشِ نطق سے عرش خیال کو
مدت ہوئی کہ بارشِ الہام بھی نہیں


mere wujood ka koi in’aam bhi nahi;
yaani tere laboN pe mera naam bhi nahi

zanjeer e husn meiN humein baandhaa gayaa hai kyuN
hum par toh tere ishq ka ilzaam bhi nahi

takte haiN farsh e nutq se arsh e KHayaal ko;
muddat hui ke baarish e ilhaam bhi nahi