intizaar ki KHushbu…


خزاں گزیدہ لبوں سے ادا کریں ترا نام
ہماری سانس سے آئے بہار کی خوشبو

نسیم صبح ہوائے چمن کہ بادِ بہار
ہزار نام سے یاد آئے یار کی خوشبو

پھر آج موسمِ ہجراں پہ چھائے ابرِ وصال
زمینِ دل سے اٹھے انتظار کی خوشبو

کسی کے لمس کی تاثیر ہے چمن میں آج
کہ ہم کو لگتی ہے پھولوں سی خار کی خوشبو


KHizaaN gazeedah laboN se ada kareiN tera naam;
humaari saans se aaye bahaar ki KHushbu

naseem e subh, hawaa e chaman, ke baad e bahaar;
hazaar naam se yaad aaye yaar ki KHushbu

phir aaj mausam e hijraaN pe chaaye abr e visaal;
zameen e dill se uThey intezaar ki KHushbu

kisi ke lams ki taseer hai chaman meiN aaj;
ke hum ko lagti hai phooloN si KHaar ki KHushbu