وہ ایک خواب مجسّم تھا جسکو دیکھا تھا
ہزار رنگ میں بکھری تھی اسکی پرچھائ
نہ جانے کون سے عالم کا وہ ستارہ تھا
کہ آج جسکے جنازے میں کائنات آئی
یہ کہہ رہے ہیں بڑی شان سے رقیب اسکے
سگان کوچہ جاناں سے ہے شناسائی
یہ مجھ سے قیس میاں نے کہا تھا صحرا میں
میں کیا ہوں گر نہیں تعبیر خواب لیلائی
بہت قریب سے دیکھا وہ سانحہ ہم نے
کہ تمکو جسکی بہت دور سے خبر آئی
woh aik KHwaab e mujassam tha jisko dekha tha;
hazaar rang meiN bikhri thi uski parchaayi
na jaane kaun se aalam ka woh sitaarah tha;
ke aaj jiske janaazey meiN kaayenaat aayi
ye keh rahe haiN baDi shaan se raqeeb uske;
sagaan e koocha e jaanaaN se hai shanaasaayi
ye mujh se qais miyaaN ne kahaa tha sehra meiN;
maiN kya hooN gar nahi ta’beer e KHwaab e laylaayi
bohot qareeb se dekha tha woh saaneha hum ne;
ke tumko jiski bohot door se KHabar aayi