hairaaN na ho ke aql junooN ke huzoor hai…


کس کو قریب جانتا ہے ، کون دور ہے
کیا عقل کی خطا ہے کہ دل کا قصور ہے

ہم نے کہا نہ تم نے سنا، ایک واقعہ
پڑھ لکھ سکے بھی کیا کہ جو بین السطور ہے

لمحاتِ وصل بھی ہیں شبِ ہجر کی طرح
جتنا ہوا قریب وہ اتنا ہی دور ہے

ہمکو ہے شوقِ دید، ہم اہلِ نظر ہوئے
یہ تیرگی ہمارے لئے ظلِ نور ہے

تصویر، جلوہ سازِ مصور ہے اس طرح 
میری نگاہ، مُنتَظَرِ کوہِ طُور ہے

ہیں محفلِ رموز میں اسرار جلوہ گر
حیراں نہ ہو کہ عقل جنوں کے حضور ہے


kis ko qareeb jaante haiN, kon door hai;
kya aql ki KHataa hai ke dill ka qusoor hai

hum ne kahaa, na tum ne sunaa, aik waaqia;
pardh likh sake bhi kya ke jo bayn-as-sutoor hai

lamhaat e wasl bhi haiN shab e hijr ki tarah;
jitna hua qareeb woh utnaa hi door hai

humko hai shauq e deed, hum ahl e nazar hue;
ye teergi humaare liye zill e noor hai

tasweer jalwa-saaz e musawwir hai iss tarah;
meri nigaah, muntazar e koh e toor hai

haiN mehfil e rumooz mei Asrar jalwa-gar;
hairaaN na ho ke aql junooN ke huzoor hai